Tuesday, October 7, 2014

Jb wo mile phir se

Jo betta wo wqt hassen tha...
Jb y lb bhi muskurate the....
Sirf Pyaar k nagme gungunate the.
Har wqt bss tum sath hote the
Jb hum rutha karte the
tum haskar hamme manate the
Iss parai duniya k
purane reet samjhate the..
Hass kar gum mitane ko
tum gale lagate the....
Un nigaho mein bss apni hi tasveer pate the...
Pareshaniyo se ghire hum pechaan banane nikle the.
Sath na chute tumse y wada kar k ghar se nikle the..
Pr wqt ne aissa khel tha khela
Ajeeb hi tha y duniya ka mela
Kuch wqt jo hath tera chuta tha
Mano wqt ne apni chaal badha di
Aaj bhi uss sath ko bechain mnn tarsta hai
Aaj bhi woo wqt hai ..
betarteb bikhara mera aks hai....
Phir ek shaam samne jb tum thi aai...
Meri aankhe bhar si aai ...
Pr abb tum badle huy lagte the
mathe pr bindi hatho mein kangan huya karte the....
Jo nigahe kabhi jane pechane se lagte the
Kabhi Unka noor hum huwa karte the..
Aaj wo mile jaisse ek ajnabee se
Sath unk bhi ek massum tha...
Humne bhi usse pucha uska naam tha...
Ankhe to tb bhar aai...
Jb uss massum ne haskar le liya hamara hi naam.....
Dastoor to dekho jo duniya ki reet samjhate the
Aaj ussi mein hum dono yuhi piste jaate hai.
Wo abb bhi bola karti hai...
Jevan jena sikha deti hai..
Na badnaam ho kahin apni mohabbat
Wo humse aur hum unse aaj bhi nazare chura lete hai....
Ajnabee se kabhi mil.jate hai
Pehchaan kar anjaan ban jate hai
Iss jaalemm duniya ki reet purani nibhate hi chale jate hai...

Thursday, October 2, 2014

Shaam ka jaam

Sham-e - tnhai mein ....
Jb akele hote hai...
Tb y nain bebas lachar hi rote hai.....
Ek wo yaad hai jo jaati nahi.....
Ek y jaam hai jo madhos karta nahi...
Kosis ki thi ki jala k khak kardu teri tasveer. ...
Ek wo aag hai jo abb tk bhujhi nahi...
Humko gila nahi ki sath tera paya nahi.
Na jaane kun thi wo jo aaj bhi sath hai..
Ek wo hai jo sath deti nahi
Ek y raat hai jo khattam hoti nahi...
Akele chalte huy na jane kahan pahunch gay. ....