Khana khaya? Kya khaya? Pair kaissa hai..uncle untyji kaisse hai? Ashwini ne join kiya training. .. kb pahunche aap log aaj.?ha ha sorry kahin disturb to nahi kiya aapko ? To kaissa beeta aaj ka din.. bahut yaad aarahe aap yaar..hamari baat huy 24 hrs hone ja rahe. Aap ko msg karna passand hi nahi humko call karne ki manahi... sab aap ki favour ki hone chahiy na baate.. plz yaar kuch to bolo bahut muskil se beeta hai y pura din pr abhi to surruwat hai kaisse hoga aage mere ko bahut badi saza de gay yaar aap... upper se mood aur kharab kar liya hai aapne mere se.... kya karu boliy .. ek aap the jinse kuch baate aissi bhi share karne laga tha jo ki ghar pr nahi share kar sakta tha ... aapne sab sunna samjha aur ab phir akele chod k chale gay... yaar bss y bataiy jb online hote hai aap to batate kyu nahi... accha haan bore kar deta hun na aapko...chaliy abb shayad is boring aadmi se aapko chutkara milla... jaissa ki aap kehti hai... humse kya matlab. .. khana banaya ki bahar khaya.... maussam kaissa hai.... yaad tobaya nahi honga mein...aunga bhi kaisse koi na ..addat daal lunga chupa rehne ki bss isha jaissi mat bn jaiyga ... kuch bhi kariyga to y soch k ki mein bhi hun baaki aap to mere se gayada samjhdar hai.... cheeze handle bhi acche se karti hai. . Bss dar is baat ka hai ki aapk baad mein shayad khud ko sambhal nahi paunga...yahi ek drr hai baki jo ho meri kismat ne mujhe kabhi kuch nahi diya. .. usse ladkar leba pada hai..pr ussne wo cheez aisse di ki kabhi khushi nahi hui... aap wapas kb aoge yaar plz kuch to bolo kuch bhi pr plz bolo yaar.. badal na jana
Tuesday, June 16, 2015
16/June/2015
Jaanti hai aap mere ko bura kitna lag raha tha kl... pr mein kar bhi kya sakta tha aur...aapki sari baat sahi thi ki favour kiya gaya mere ko...meine cts nahi diy .attendances km thi .assignment nahi diy.... ppr kharab kiy.... wo sab kiya jo nahi karna tha.... roj daru bhi peeta tha..padhai ... handwriting sab km hai meri aapse.kissi faculty ka phone uski baate sunnana.. pr ek baar ye soch kar dekhiy ki aap khan ho mere samne... ek aissi ladki jisne akele puri raat thake hone k bawjood ticket liya.... wapas ghar ja k kaam niptay aur bhai ki khushi k liy banaras tk k intezaam bhi kiya... shayad mein y nahi kar pata... sari situation aapne hamesha mere se gyada acchi se handle kiya hai... aap mere se bahut acche knowledgeable manager ho yaar... y baat kyu nahi maante...aur takleef to yaar mere ko bhi hai pr y bataiy ki iss sem aapk 75 bane hai na and overall bhi itne hi bane hai
.. y bahut aache marks hote hai yaar. . Kyu mere jaisse jahil se compare kar rahi aap.. hum jaisse ko to chaliy baishakhi ki help mil gai and aage kya ....y log to jindagi ki race nahi jitayenge humko... bss y ek bura phase tha life ka jo nikal gaya pr sach yaar iska y matlab hargis nahi ki aap aapna mood and efficiency kharab kariy... jab aapse sari baat discuss karta hun yaani akele nahi sambhaal pata na wo sab aapki help chaiy rehti hai mujhe hamesha.. aur manager kaam karte huy acche lagte hai marks to sirf ek bahana hote hai .... mujhe khushi sirf aapki khushi se milti hai aur agar aapko lagta hai ki mere na cts.. collg jane se assignments na dene se aur kharab writing k bawjood marks diy gay jabki ek ppr mein attempt hi 65-70 ka tha.kissi bande ka phone receive karna..usse baate karna... to yaakeen maniy mere sath bhi accha nahi hoga.. km se km upper wala to dekh raha hai na ...mere ko aapka dil dukhane ki wajah banane ki saja to mil hi jaygi wqt aane pr...aur bss ek baar y soch lijiyga ki agar kissi ka sath mere liy imp.hai to aap... baaki aapka decision hai
Monday, June 1, 2015
Tumhare bina mein
UJane kyu abb kuch bhi galtiya nahi karta shayad abb aap nahi unhe sudharne k liy daatne k liy samjhane k liy.... abb maza bhi nahi ata koi nai sharrart karne mein.... dekha kitna kuch badal k chale gay itne km dino mein mere jindagi ki khushyia.... bss sirf itna keh dete ki wapas aaoge na.... intezar karungi tumhara. Bss sirf itne se hum puri jindagi nikal dete...aaj bhi ussi mod pe sir rakh k rota hun Jhan kabhi hum sath juzre the... bss un asso ko log dekh nahi paate ... bhegte maussam mein kahin dil ki dhadkkan rukne lagti hai dekh lo ki kahin kissi ajnabee k yahan hum ajnabee se nazar na aay..... sach bola tha ki mein sab diggad lunga huwa bhi wahi abb jo khamoshi hai wo sirf tumhari nahi mere mare huy us vyatitvya ki hai jo kabhi tumhare sath raha tha...jiski lakh galtiyo ko maff kar tumne baato ka silsilla rukne nahi diya tha...mein alag andaze bayan kar k jeeta hun ... pr thak haar kar jaam peeta hun...takdeer se laddkar abb har si hone lagi hai... dekho mein wqt se phlevy ankhe bojhil hone lagi hai .. kaisse ho yaar iss baar jb se door gay badal gay tum abb kyu karte ho itni khamoshi baate... shayad meri maut hi iss khamoshi ko tod paygi....
Wednesday, April 29, 2015
Drunked hum
Bhaut kuch kehna hai aapse... kaisse kb y pata kar pana thoda muskil hota ja raha .... ek hum hai jo galtiya hi karte jaate hai ek aap hai jo har baar pichla bhula k naai surruwat karti hai... yaar kuch gyada ho gaya na aabki baar ....mein bahut kamina nikla yaar khud se aissi umeed nahi thi ..... har baar yahi lagta tha ki abki logo ko baate karne ka mukka nahi dunga ... aur har baar unko mukka meine hi diya.... is baar to baat aapk ghar ki ho gai yaar...... bahut bura lag raha ....hamesha lagta tha ki jindagi se jo chahiy usk kabil bn k usse le lunga... wqt lagega pr milta..... itni samjhdari aap jaissi kyu nahi hum mein ... sikh raha hun .... galtiya hai ki khattam nahi hoti aur har baar aapko khush karne k chakkar mein aur drd takleef diy ja raha .... ab bss lagta hai ki kahin door ho jaau....mba pura phir aapko koi pareshani nahi humse.... aapse wada karte hai aaj ... aapk baare mein ab koi jankari nahi rakhenge.... kyu ki agar abb apko kuch bhi batana hoga to aap jarur bataiyngi.... abb bhi yahi karta tha.... jb se baat surru hui laga aapse sb clear puch leta tha... yaar thanks bolna tha aapko aapne bahut help ki .... shayad agar uss din aapse baat nahi kar raha hota to pata nahi kaisse react kiy hote..... issi baat se shayad aapki acchai se pr shayad mein pagalpana gyada kar gaya aur aapk ghar jaane k baad aapko pareshan kar diya mallum tha ki aap wahan relax karne gai hai pr humne kya kiya aapko aur pareshan kar diya..yaar kabhi bss itna sochiyga ki kabhi kabhi kuch log aisse hote hai jinka hone se sirf takleef hoti hai.... bss abb aap jo kahengi sab sahi sab thik ... never let you down again....bss abb aap jo kahiy. ..
Friday, April 24, 2015
Yu kyu huwa
Jb aapki khushi k liy hi m itna sab karte hai... aur aap yu chehra uttar kar rehti hai phir yu hi kissi aur se has k baat karti hai hum kare to kya kare abb..... mein apna dil sambhal sakta hun mood nahi mein aapko sambhal sakta hun khud ko nahi...... iss dosti se accha to baat cheet na hone ka ehsaas bhala tha ..... abb mein us kasti mein hun jahan y to mallum hai ki mera thikana nahi pr uttar k jaau kahan.... isha y aapne humko khan la diya... aapki parchai sath nahi chodti.... hamesha aap yaad rehti hai.... aapki hi parchai ne dil dimag ki dahi kar di hai.... vandana. ....y meri life ka akhiri naam hai.... mein nahi samjhta mein abb aur social life jr sakta hun.... akela rehna hi hoga.... rudra naam milla tha magar kya pata tha ki unki jindagi ka sbse bada sach mera bhi hoga... ekanki.... mohabbat to hoti magar anjaam assan na hota.... sath jeete magar hamesha sath reh na paate.... unki love story ka always sad end..... rudra naam ka y sab hota hai to yahi sahi bss abb unjaissa hi bn jaunga mein nahi karunga yaad fariyad teri... khushi to humse aitraz hota rahe hum apne gm se gyada sahaj hai...kl aanso rook nahi paya...kl hdd ka drd hogaya samjh nahi araha ... isha plz ek baar baat kar lena humse ... aap jaissa dost aaj tk nahi milla...km se km rone to na deti aap..... bahut drr lag raha abb khud se... kitni khamoshi si ho gai hai mere dil mein... sb kuch baimani lag raha...isha plz kabhi to kuch pal k liy khayalo se bahar a jao mere .. bahut takleef ho rahi abb to ... drd bojh bn gaya tha....mein itna kabil nahi ki y bojh sambhal saku... itna kayar bhi nahi kuch galat karu... aap jaissi hai waisse hi rahiy... bss abb aur khud ko nahi badal sakta.. drd bhi y allag sa hai .. hath kaap rahe hai.... sir ka dard bardast nahi ho raha.... do pain killers k baad y haal hai....shayad pair bhi dard kar rahe. .. sajh nahi araha y dard kaha kaha hai.... dil .. dimag jism... inka talmel aaj nahi ho raha y alag hote ja rahe ek dusre se hum aap jaisse..... bss abb aur nahi ... upper wale kabhi to mukurati jindagi k kuch pal de do... kahil dil se hasna na bhol jau..raat jaagte huy nikal jaati hai... din mein kuch na kuch... abb sirf nashe mein hi madhoshi need hoti hai warna in aankho ne palk jhapkana bnd kar diya hai...phli baar aissa khuch huwa mere sath akele nahi reh sakta abb.. pr kismat ki lau abb jaan hi legi.... jala diya hai ussne mera wajood meri khwaish mera pyaar... kini door ho gai ho abb dekho.... hum shayad abb ajnabee se kb nahi jahan y mallum hota tha kun kis situation mein kya karega aaj to sawal hai ek dusre k liy.... rona araha.... ro nahi paraha... roy bhi jamana ho gaya laut aao abb plz..