Jb aap kissi ko pasand karte hai pyaar karte hai to apne se phle unke baare mein sochna chahiy....kissi ka aahm itna bhi bada nahi hona chahiy ki kissi ka astitvya chota lagne lage uske aage...... hammari khata kya itni badi thi ki maafi bhi na mil paati aur aapne hammare hisse mein itni badi ruksai likh di bataur saza ... hum kar bhi kya skte the sivay bebasi ke aapko niharte ...... hum to soch bhi nahi skte the ki aap ko humse itni takleef kitna roos tha ki hamme dekhna bhi na kafi raha aapko. Sach jarur kadwa hota hai manta hun .. jaanta hun... pr akhir kyu ek baar bhi jirah nahi karna humse munasib samjha aapne....?
Tuesday, April 29, 2014
Monday, April 28, 2014
Mera tera intezaar
Kissi ke jawabo ka intezar hamesha hi rehta hai........unko dekhne ka bahana bhi dil dhund hi leta hai..aur jb bhi wo samne hote hai bato ka jharna suukh kr registaan ban jata hai.yado ki apni hi taseer hoti hai.teri tasveer mere jehan ki gehrai aur ankho mein is kadar samai jaisse jism mein piroi huwi ruh .....chahte huy bhi bs krta rehta hun tera intezaar.....aur hasil kya kiya jindagi mein siway ruksai k...
Raat aur mera sath
Aaj ki raat me kuch nayi baat to nahi thi per kuch naya jarur ho skta tha
Khamoshi hai.......
Aisa lagta hai sbhi ek dusre se kuch kehna chahte hai pr na jane kyun aissa karna nahi chahte........Door ek taraf tanha chand hai jo akela khada sabko nihaar rha tha soch raha h kab koi aker usse baat kare….or dusri taraf wahi jhilmilate tare hai jo h to kai saare fir bhi us chand se koso door h..….
Hawaye sard hai.........aspas ka sannata iski pehchan banta ja raha hai....... ye khamosh raat hi ho sakti hai jiski khubsurti ko aaj bhi nihaar hi raha h wo chand ……. Thik ye aissa hi hai...... jb koi aapse baat karta h accha lagta hai fir achank wo bate band ho jati h or khamoshi hawi ho jati hai.....ufff ye kamosh raat .....nishchhal, befikr, apne mauj me tanha akeli ghumti, bina kisi ki parwah kiye sabko apni panahao me bharti hui behti hui ja rahi h………
Chand ki udaasi ko dekh ye khamosh raat aur gehri ho gai hai abto................... kuch aur bhi raaz hain dabe isme…Meri hatho ki hatheli khali thi aur dimag bojhil, ankh utha kr mai kuch nihaar hi raha tha ki ek waqkya jehan mein agya…………
Iss khamosh gagan ne na jane kitne anjane raaz samete hain apni jhilmilati kaali chadar k piche..... wakya huwa kise kya mallum .........pr shayad koi apna tha jo aaj bhi rutha hi raha....
sach kismat meri zindgi ka koi hissa rahi hogi jb khata jo ho gyi thi ne badal diya sab kuch....... khamoshi aur har taraf behti hui ye siharati hawa....... yahi kuch pal hote hai jb aap khud se rubaru ho sakte hai.... yahan is wqt aap hain.....akele sochte likhte apne hi banaye ek bhram mein jeete........ yahan sb kitna shant lagta hai pr kuch hi der mein yahan ek shor hoga na jane kaisse koi kahin kho bhi sakta h.......
koi hai jisse kuch kehna tha,smjhana tha...... pr shayad abb use humse koi wasta nahi...mein aapse baato ka daur is raat ki khomshi mein badlna nahi chahta tha....... pr un anjane raaz se rubaru karana tha jo ki parde k piche the.....wo anjane be-parde jo humare beech ki khamoshi de gaye……… abb na nend hai na sakun fir bhi sanso se andr jata ye dhua ehsas dilta ki waqt hi km ho chala hai........abb y samjhna muskil hai andar jalta ye dhua hai ya............
uff Subah k 4 aur shayad in ankho ne aaj bhi sath nibahya .......koi nishaan bhi baccha nahi ki nend bhi ayi thi...... kuch pal aur phir raat ka andhera aur ghana hoga…........ jhilmilati chandni chadar jo ki ab tk mere sath thi dhere dhere ojhal ho rahi hai..... chahta to tha ye pal shayad kuch sath nibhata or uski yaado k saye mein kuch pal reh paata pr ye sikudti chandani chadar aur ankho k ojhal hota ye chand ehsas dila rha h humara sath km ho chla h ....... ek sangeet parindo se sunehra hota ye asman jo abb tk shant tha abb usme kuch sug-bu-hatat hai jaisse jaan phir se lauta di ho akeli tanha hawao ne .....
chahta to nahi tha jo us pal hua ...... nahi chahta tha ki aapka sath itna km hota...... abhi to suruwat bhi na ho saki thi ki ek faisla jiska koi adhar nahi kitna ghna andhera kr diya humare darmiyan.....khushi kya intezar kya tha abb wqt bhi baimaan nikla...... sudagar nikala ....samet raha hai wo sare pal jo uske kbhi the hi nahi .... ankho se ye behti iss wqt oos ki boond aur khayalo mein chaya thehrav abhi bhi intezar mein hai uss sunehari kiran ka ....uss jawab ka jo khushi ki muskurahat iss chehre ko de sake........
Suraj sir k thik upper hai .... apni tapish ki puri pradarshni karta huwa....... jin palo mein kuch jaan wapas ayi thi, ek tazgi thi jo us tapish se kahin thakan me badal rahi h,ek ajeeb si sustai nazar ati hai. ..... Ab parinde tapish aur jalan se rahat ke lye panah ki talash me udte hue hi dikhte hai....... daudti jindagi acchanak kahin phir se raftar khoi nazar ati hai aur pareshaniya aur shikan chehro pr saaf nazar arhi h....... bina kuch kiye ye sab jaise baimani hi lagta hai..........sabko lagta hoga naya kya tha ye wo chnd wqt ki parchaiya thi jinke agosh mein raha unse ye bataya ki gunah to kuch kiya hi na tha aur zammane ki ruksai milli........ ek dard seene mein chupa tha....... ek tez si jalan seene mein uffan marti hai... tere chehre pr faila y dard .....ye gussa meri wajah se hai ...... uff ye surkh laal ankho ki lali ajeeb sa khauf paida karti hai ..... jinka hona tapte registaan mein sukhi nadiya ki darare se dikhi h .............abto panah de de mujhe kahin jala k khak na kr de wo pal jinka ana abhi baki tha......... ufff ye tanha raat aur uska mera sath...........