Showing posts with label mvm. Show all posts
Showing posts with label mvm. Show all posts

Thursday, July 17, 2014

Dstk tkkrar ki

10th ke exams k baad kafi lambi chuttiya hui thi jindagi mein pehla padav pura huwa tha .... kuch khas meri umeede thi nahi bss itna mallum tha 70-75 k beech ajay ..... hum ab results ka intezaar mein the ... ussi  beech lambi Chutiya mein sb kuch na kuch kar rahe the ,koi ghumne gaya tha ,koi apne hi yahan tha ...... shayad pheli baar ehsaah huwa tha unsse door rehne ka , yu to meri aur unke beech sirf itni hi baate hoti thi jaisse ki kya ho raha .....uski ek baat bahut khas thi padhati wo bahut badhiya thi ...help karne mein kabhi piche nahi rehti thi ... yaad hai chutiyo mein jidd kar k cycle li thi aur mein aur mera dost rohit sahu hamesha subah 5 baje se cycle chalane chale jate the lagbhag 10 - 15 km cycle chalate the hum dono aur mein jaan bhujh kar unke ghar k sammne se jata tha... unko bhi nahi pata na dost ko ..... aur bahana hota tha falsa ka .... mujhe accha lagta hai......shamm ko humne computer class join ki thi .... bss issi mein din nikal jata tha phir wo din bhi aya jb results aay...... sbse phle muktesh aya ghar phir rohit hum sath ghar se nikale mere 77.6 bane aur deviji k 87 I guess yadd nahi .. phir jb collg khule unko maths leni thi humko bio ... pr unke sath ka mukka nahi khona chahta tha.... isliy aapni aukkat se gyada maths bio opt ki...... iski bhi kahani thi  principal aur meri khundas ,tb tk hum dono ekdusre k samne aagay the....... wo raaji nahi tha aur hum ziddi......le kr manne ussne sirf 5 ko allow kiya baki sb 85 k upper aur hum 77.6 bss Bss yahin se meri dohri jindagi surru hui....sb sath lunch kar rahe the ki collg k kuch dabang students ne class mein aakaar ladkiyo ko kuch bola tb mein class k bahar tha aur mere dost saurabh himansh anand ander the isha bhi wahi thi ...... mere ko bataya gaya tha ki lunch mein kamra band kar k kha rahe the to saurabh sahu and group ne darwaje pr laat maari thi..mein junior gp mein lunch duty pe tha. . Jb wapas aya to jussa agaya ... mein uss samay tk ya to hasta tha y jusse mein rehta tha... middle raste the hi nahi ..... phli baar uske mana karne k baad bhi sahu se bhed gaya tha .. uska dost devendra milla tha ussi se behas ki ... mere aapne dosto ne sath nahi diya tha mera .....shaam tk ussne kuch nahi bola.... mahol garam tha aur mere pittne k pure assar ... puri fielding lag gai thi..... pr kyunki sahi baat pr apne dosto ne sath nahi diya to kissi se koi umeed bhi nahi thi...tabhi aaj uski di aak mere se baat ki......
Neelisha....... mohit kya kar rahe ho? Bahut acchi baat hai y? Bahut bade ho gay ho tum.log? Gundagardi maarpeet hi karni hai to yahan kya kar rahe ho?
M..... aapko mallum bhi hai kya huwa hai....
Nl..... haan
M....tb bhi lagta hai meri galti hai?
Ml..... haan
M....aissa kyu?
Nl....kyunki tum unjaisse nahi ho.... unka kaam sirf yahi sb karna hai .. aay din to resticate hote hai. Sbse badi baat chalo tum unse nipt loge phir bhi agar unlogo ne sadk pr hooting ki ya kuch kiya
M.... nahi aaj k baad aissa kuch nahi hoga...
Nl....kyu kya karoge...
M...Nahi patta pr jo bhi karunga ...aaj jarur karunga.
Nl.... tumse baat karna bekar hai chalo isha...
Dono wahan se chali gai..isha ne plt kar dekha bhi nahi sb chale gay wahan se... humne bhi bag uthaya aur nikal pade .aaj akhiri din tha sath mein kl se class divide honi thi jisme maths alag bio alag aur common bio gp mein rehta.... sahu se phli baar baat tabhi hui ... uski ek style passand aai thi wo akela baat karne aya koi sath nahi tha uske ...kya baat hui abhi nahi bataunga...... y baat batani jaruri hai waisse. ........

Saturday, July 12, 2014

Kahani ka agla din

Aaj subah jaldi jg gaya pata nahi kyu ...par aaj papaji bhi jage the shayad kuch baat thi office ki ... wo akhbaar padh rahe the baramde mein unk pass gaya gud morning bola aur rocky ko awaj lagai wo aya aur hum dono ek dusre se lad gay khel khel mein ... subah ki addat mein shumar tha rocky k sath khelna... phir papaji bole tyaar ho jao bus ane wali hogi .. hum bhi wahan se wapas kamre mein aakar tyyar hone lage ...... tyaar huy 6:20 ki bus se collg... raste mein ek 1 st class ka ladka tha accha dost bn gaya tha shailendra sahu. .... jisse phli baar naam.pucha to cheenu bola .... mein aur babloo bhaiya . (Bus conductor) usske sath hassi mazak karte the . Accha ladka tha ... uss din wo ek gende ka fool laya mere liy ..meine bhi le liya .. collg pahuncha ki lagbhag 7 tk isha bhi aagai.. meine wo phool usse de diya ...muskurai. aur rkh liya........
Thodi der mein ground assembly surru hui .... sb ground mein the wapas aay to pata chala phli class khali hai... class monitor tha to sb bole kissi ko na bulao meine bhi yahi kiya pr sbse aapna kaam karte tehne ko bol diya.
I... himanshi dekho nalayk ko
H... kun mohit? abb kya huwa
I.. kuch nahi bahut badtameez ho raha
H.. saurabh tumhara dost batamez hai
S.... kyu abb kya kiya
H... isha bol rahi hai aissa
S... dono pagal hai
I... pata nahi kya likhta rehta hai
S... batao mohit kya likhte rehte ho
M ... kuch nahi yaar
I... accha dekho iske bag mein dairy hogi
M... rukko dikha raha ....

Abhi y sb baate chal hi rahi thi kissi ne dhyan nahi diya isha gende ke phool ki hr pankhudi alag alag kar rahi thi
I.... iske page kyu phate hai
M..kl bola na koi nahi padh payga... likhna bnd ok
I...dekho isko kitna batamez ho raha
M.. hdd hai yaar wahi kiya na jo aapne kaha
I... pagal ho tum.... lo apana phool
M.. arre yaar y kya kiya.....
I... tumne phad diya humne bhi alag alag kr diya...
M... class mein gandagi kariy bss.aur batamez hum
I.... wo to ho hi....
M... aree
I... kya ..lo isse aur phek do....
Hum age badhe aur tukado ko sameta..pr pheka nahi unkonsambhal k aapne pass rakh liya

Kahani ki surruwat

Ek assi kahani ki surruwat kar rahan jiski na surruwat ka pata hai na ant k bss kyu ki isse mein ji raha hun ... y har pl apna swarup badal rahi hai. Meri khani ki suruwat tb ki hai jb meine phli baar usse dekha usski baate uski yaade na jane kya ... kya.. wo topper thi aur hum bss aisse hi apni di logo ki banay ek benchmark se naape jane wale jiske wajood ki gunjaish itni thi ki kabhi  hum sirf mohit bn k nahi reh paay. Hum alag the suru se, sb se ,sb alag hote hai pr na jane kyu kaisse hamari bhi apni pehchaan thi.. kabhi kuch aissa hasil nahi kiya tha jis pr gumaan ho pr aissa bhi nahi tha ki kuch hassil nahi kiya .mere jindagi ki wo choti choti khusiya jahan pr humko hamesha hamare ghar walo ka support milla ek wqt wo bhi tha jb hum hatash the, jindagi se mehrum tb bhi ... surruwat hui is kahani ki 10 th se usske phle ek nakchaddha sirdard tha mein phir na jane kya huwa ki badlne laga nahi mallum tha iski wajah ,aaj bhi nahi janta ..hamesha muskurahat ,tuunk mizaji hamari pehchaan hoti thi aisse to kai wakay hai pr sbse pehla wo tha jb dairy likhna suru kiya uss wqt se hi isha ka dhyan tha.. usske sath padhna .. usse sawal jawab usske notes uska humko samjhana . Datna sb alag tha.yu to gehri dost thi hamari pr shayad hum hi hr rishte ko naam dene ke piche pagal the.... shayad yahi wajah thi ki hum usse kitni dooor hai aaj.. ground mein khelna phir thak k wahi sustana .. himaat to thi pr jism ki takkat sath kahan nibati thi .  Tb humne apni likhne ki adat ko ayam denw k.liy diary likni suru ki suruwat k hi dino mein lagne laga ki ussme usse baate hoti thi . Dosto se baat share karne mein yahi hota tha ki ya to mazak nahi to badnami dono .... phir shayad tbhi se meine aapni baato ko likhna suru kiya aur tabhi se badalne laga... aissa nahi ki baate share nahi karta tha iske baad karta tha pr frk nahi padta tha wo kya sochte hai . Apni hi duniya hone lagi thi... isme maza aur saja dono hi thi .. to baat tb ki hai jb ek sin kissi baat pr apna ghagda huwa tha  aur do din koi baat nahi phir acchank games class mein wo hamare pass aai aur baat ki
I.... kya kar rahe ho? Tumhe har baat itni der se kyu samjh aati hai. Kya likhte rehte ho ... baat karni hai ki nahi?
Mein bss usko dekh hi raha tha dairy ko chupay
M.... nahi aissa nahi hai . Janti ho ki jaldi jussa ata hai aur shant bhi ho jata hai.. nahi mallum tha ki itna jussa tum bhi karogi. Samjhana chahiy tha ki nahi .. aur baate to aapse hoti hai .. kyu nahi karunga .. jarur karunga .. abb to bilkul nahi band karunga. .
I..... to laao dikho kya likha hai
M.... nahi yaar y mere liy hai .sbko nahi padhata.
I... to collg mein lakar kyu likte ho .ghar pr rakha karo
M.... jb bhi wqt milta hai likhte hai .. abb y sath hi rehti hai chahe ghar ho ya collg.
I... jo bhi ho dikho mujhe padhna hai.
M.. nahi yaar samjha karo
I... mujhe padhna hai bss....
Cheene ki asfal kosis. ...
M .... plz aissa na karo chot lag jaygi .. waise bhi ground mein sab dekh rahe
I... tumhe kb se sabki chinta hone lagi
Tabhi class khattm hone ki bell bajti hai dono apne dosto k sath wapas class aate hai....
I... dikhate ho ki nahi
M... nahi..
I.... jaao ... bahut bhaw hai tumhara..
Agli class surru hoti hai... phir school.over . Dono sath mein class se nikalte hai... pr khamosh ...
I... koi aur padh lega tb kuch nahi ..humko dekhane mein bhav
M.. koi nahi dekhega... aaj se likhna band thik hai.
I... bol to aisse rahe ho jaisse sari baat samjhte ho ...
M.... ek baar bola na abb nahi hoga aissa
Uski badi di usko lene ajati hai .. phir dono apne ghar ki aur nikal jati hai