Saturday, July 12, 2014

Kahani ka agla din

Aaj subah jaldi jg gaya pata nahi kyu ...par aaj papaji bhi jage the shayad kuch baat thi office ki ... wo akhbaar padh rahe the baramde mein unk pass gaya gud morning bola aur rocky ko awaj lagai wo aya aur hum dono ek dusre se lad gay khel khel mein ... subah ki addat mein shumar tha rocky k sath khelna... phir papaji bole tyaar ho jao bus ane wali hogi .. hum bhi wahan se wapas kamre mein aakar tyyar hone lage ...... tyaar huy 6:20 ki bus se collg... raste mein ek 1 st class ka ladka tha accha dost bn gaya tha shailendra sahu. .... jisse phli baar naam.pucha to cheenu bola .... mein aur babloo bhaiya . (Bus conductor) usske sath hassi mazak karte the . Accha ladka tha ... uss din wo ek gende ka fool laya mere liy ..meine bhi le liya .. collg pahuncha ki lagbhag 7 tk isha bhi aagai.. meine wo phool usse de diya ...muskurai. aur rkh liya........
Thodi der mein ground assembly surru hui .... sb ground mein the wapas aay to pata chala phli class khali hai... class monitor tha to sb bole kissi ko na bulao meine bhi yahi kiya pr sbse aapna kaam karte tehne ko bol diya.
I... himanshi dekho nalayk ko
H... kun mohit? abb kya huwa
I.. kuch nahi bahut badtameez ho raha
H.. saurabh tumhara dost batamez hai
S.... kyu abb kya kiya
H... isha bol rahi hai aissa
S... dono pagal hai
I... pata nahi kya likhta rehta hai
S... batao mohit kya likhte rehte ho
M ... kuch nahi yaar
I... accha dekho iske bag mein dairy hogi
M... rukko dikha raha ....

Abhi y sb baate chal hi rahi thi kissi ne dhyan nahi diya isha gende ke phool ki hr pankhudi alag alag kar rahi thi
I.... iske page kyu phate hai
M..kl bola na koi nahi padh payga... likhna bnd ok
I...dekho isko kitna batamez ho raha
M.. hdd hai yaar wahi kiya na jo aapne kaha
I... pagal ho tum.... lo apana phool
M.. arre yaar y kya kiya.....
I... tumne phad diya humne bhi alag alag kr diya...
M... class mein gandagi kariy bss.aur batamez hum
I.... wo to ho hi....
M... aree
I... kya ..lo isse aur phek do....
Hum age badhe aur tukado ko sameta..pr pheka nahi unkonsambhal k aapne pass rakh liya

No comments:

Post a Comment